Ek baar ki baat thi
Ek dum fizool ki
Parinda ik suljha tha
Patang se uljha tha
Ulta woh, ulta woh
Mohabbat se phisla woh
Gir kar sambhal kar woh
Khoya khoya sa hans kar woh
Akhiyon ki masti mein
Jo daastan yeh jhalakti hai
Dikhti hai, chhupti hai
Haule se bulati hai
Kahani atrangi si, paheli anokhi si
Thodi adhoori si, zaroori bewakoofi si x (2)
Baith kar woh sochta hai
Parinda tha jo hamara
Dagmaga chuka tha
Phir iraada hichkichaya
Sawalon se door, jawabon se door
Us ehsaas ke pass jo khud mein
Khud mein bhar-poor
Lagti bas khud ki
Par hai woh ab sabki
Ik rangon ki toli
Aabaad aur azaad aisi kamaal ki
Yeh sapnon ki jholi
Kahani atrangi si, paheli anokhi si
Thodi adhoori si, zaroori bewakoofi si x (2)
Phir maqsad bhi muskuraya
Aur uska waqt bhi palat aaya
Ik phasne phasane ka fasana ab gudgudaya
Soch se uchhla woh atrangi parinda woh
Koshish ko poori karna tha
Us falak ko jhatakna tha
Tasveerein ummeedon ki
Soyi huyi un khwaabon ki
Jhaank kar nazar aayein jo
Lagataar woh pukar kar mil jaayein
Kahani atrangi si, paheli anokhi si
Thodi adhoori si, zaroori bewakoofi si..