Mana kiya tha labon ko apne
Ke naam tera le na kabhi
Roka bohat ke yeh chehra tera
Khwaabon ko apne de na kabhi
Kuchh nahi hai pehle jaisa
Aaj-kal sab naya hai
Kuchh alag sa lag raha hai
Yeh jo hai silsila
Na chah ke bhi na jaane kyun
Tera ho ho gaya
Na chah ke bhi na jaane kyun
Tera ho ho gaya
Mana kiya tha..
Mere aage kyun bichhe hain
Ishq wale dhaage dhaage
Usmein lipta sa na gaya, tu mil gaya
Saade saade thhe iraade
Aadhe aadhe jo thhe vaade
Aake tu inse kyun jud gaya, jud gaya
Hathon mein ho hath tera
To safar ka maza hai
Jis safar mein tum na ho to
Woh mahaz ek saza
Na chah ke bhi na jaane kyun
Tera ho ho gaya x (2)
Thoda thoda karte dekho
Saare huye tumhare hum
Meethi meethi hone lagi
Pehle to haan thhe khaare hum
Main kora sa kaagaz
Jiski syaahi tu hi
Padhte hain sab mujhko
Aao tum bhi padho na
Kabhi hota na tha
Jaane kyun ho gaya ho
Na chah ke bhi na jaane kyun
Tera ho ho gaya x (2)