adhuri shikayate, tere mere waqt ki
kuch pal ki jo khwaishe, hai bikhari ret si
lakiro me tera, jo rehta pal mera
tham jata agar zara, tera jaha khuda
to zinda hota main, to zinda hota main
ha zinda hota main, to zinda hota main
farebi nazakate, tere chehre ki hansi
hai odhi phir raat me, jhuthlane zindagi
nazaro me jo sama, rehta tu agar zara
kajal ki chhav se, main nind leta chura
to zinda hota main, to zinda hota main
ha zinda hota main, to zinda hota main
raakh ki baarisho me, waqt ki saazisho me
main ye hara, main ye hara, main ye hara
khel dil da ye hua hai zaya sara
khel dil da ye hua hai zaya sara
adhuri shikayate, tere mere waqt ki
kuch pal ki jo khwaishe, hai bikhari ret si
lakiro me tera, jo rehta pal mera
tham jata agar zara, tera jaha khuda
to zinda hota main, to zinda hota main
ha zinda hota main, to zinda hota main