Soyi Humare Sapno Ki Duniya Lyrics | Aadhi Roti

                        
                        soyi hamare sapno ki duniya
soyi hamare sapno ki duniya
soye hai bhag hamare
soyi hai teri maiya ki mamta
soyi hai teri maiya ki mamta
tu ab kisko pukare
soja re soja mere lal soja
soja re soja mere lal soja

na to pita ka pyar milega
na mile mata ki chhaya
humse hamara bachpan rutha
apno ne humko bhulaya
rota hai man munne rota hai man
kya geet gau kaise ab lori sunau
aaj to bhaiya tu mujhko sula re
aur mai tujhko sulau
soja re soja mere lal soja
nindiya ki nagri me kho ja mere lal soja