Main tuti hui ek naiya hu
Mujhe chaahe jidhar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu
Mujhe chaahe jidhar le jaao
Jee chaahe dubo do maujo
Mein ya saahil par le jaao
Main tuti hui ek naiya hu
Mujhe chaahe jidhar le jaao
Ek tum hi sahara ho mera
Jivan ki andheri raato mein
Duniya ki khushi taqdir ka ghum
Sab kuchh tumhare haatho mein
Abb chaahe idhar le jaao
Mujhe ya chaahe udhar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu
Mujhe chaahe jidhar le jaao
Maayus najar majbur kadam
Ujadaa hua aalam hai dil ka
Jina bhi yeh koi jina hai muh
Dekh saku na manzil ka
Bite hue din mil jaaye jahaan
Mujhe aisi dagar le jaao
Ho mujhe aisi dagar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu
Mujhe chaahe jidhar le jaao
Aansu na bahaao mere liye
Ghum mujhko akele sehne do
Tute na tumhara najuk dil
Yeh dard mujh hi tak rehne do
Abb chhod do mujhko raaho
Mein ya dur nagar le jaao
Ya dur nagar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu
Mujhe chaahe jidhar le jaao.