deewaar jo itni unchhi na hoti
chhat pe akeli tu jab raat soti
kankar maar ke tujhko main jagata
kaash aisa hota, kaash aisa hota
teri gali me hota mera chaubara
chaubare se dekhti tujhe din saara
aangan me tere khulta mera jharoka
jhaank leti niche milte hi mauka
kaash aisa hota, kaash aisa hota
teri gali me hota mera chaubara
chaubare se dekhta tujhe din saara
aangan me tere khulta mera jharoka
jhaank leta niche milte hi mauka
kaash aisa hota, kaash aisa hota, kaash aisa hota
kaash aisa hota, ghar tera hota saamne mere ghar ke
ghar tera hota saamne mere ghar ke
tu meri khidki ke paas guzarke
likhke roz chiththi phek jaata
kaash aisa hota, kaash aisa hota, kaash aisa hota
kaash aisa hota, ji jaan se tu mujhe pyar karti
ji jaan se tu mujhe pyar karti
jab darpan leke tu singar karti
jab darpan leke tu singar karti
main dur se dekhta muskurata
kaash aisa hota, kaash aisa hota, kaash aisa hota
ha sundar ye sapna magar naseeb apna
bahake ye paseena hame hai yaar jina
kare garib ulfat, kise hai itni fursat
hamari jindgani teri meri jawani
isi tarah kategi kamaate apni roti
na jaane tu kaha hai, yaha waha dhuwa hai
yaha waha dhuwa hai
sochke ye dil ko hum de rahe hai dhoka
kaash aisa hota
teri gali me hota mera chaubara
chaubare se dekhti tujhe din saara, kaash aisa hota
aangan me tere khulta mera jharoka, kaash aisa hota
jhaank leti niche milte hi mauka, kaash aisa hota
kaash aisa hota, kaash aisa hota, kaash aisa hota