Teri dulhan badi jadugarni
Ho teri dulhan badi jadugarni
Moha raja pe kya jaadu daala re
Re mere chhailla pe kya tona maara re
Teri dulhan badi jadugarni
Roop koi na rang
Koi gun hi na dhang
Roop koi na rang
Koi gun hi na dhang
Ab yeh karni ko dulhe ko bharni hai
Teri dulhan badi jadugarni
Kahon to aaj bol doon
Kahon to aaj bol doon
Main saare bhed khol doon
Ke dulha sharmaaye rang ud ud jaaye
Kahon to aaj bol doon
Main saare bhed khol doon
Ke dulha sharmaaye rang ud ud jaaye
Mujhko maalum hain sab
Rang iske hain ajab
Kabhi jaake ye idhar
Kabhi taake ye udhar
Har haseena pe mare
Roop kya kya na bhare
Laakh nadaan lage
Mujhko sheitaan lage
Kahon to
Kahon to aaj bol doon
Main saare bhed khol doon
Ke dulha sharmaaye rang ud ud jaaye
Itna bhooka hain ke bas
Mujhko aata hain taras
Iske man bhai sabhi
Jo mile khaaye sabhi
Chahein joota hi mile
Sab ka thuka hi miley
Yeh kahaan tak hain giraa
Munh na khulvaao mera
Kahon to kyun
Kahon to aaj bol doon
Main saare bhed khol doon
Ke dulha sharmaaye rang ud ud jaaye
Puchho dulha se zara
Kyun hain gusse mein badaa
Aisi kya maine kahin
Teer banke jo lagi
Kyun jhuki jaaye nazar
Kyun paseene mein hain tann
Iski baate mein sabhi
Keh deti hoon main sabhi
Kahon to ooo kahon to
Kahon to aaj bol doon
Main saare bhed khol doon
Ke dulha sharmaaye rang ud ud jaaye.