Ro ro kar kahta hai himalya
Aur ganga ka pani
Azadi pakar bhi hamne
Kadar na iski jani
Bharat to hai azad
Hum azad kab kahlayenge
Bharat to hai azad
Hum azad kab kahlayenge
Kabhi ram raj ke din
Ab aayenge ke na aayenge
Kabhi ram raj ke din
Ab aayenge ke na aayenge
Dusman se bachkar aa gaye
Apno mein aakar lut gaye
Dusman se bachkar aa gaye
Apno mein aakar lut gaye
Tufan se kashti ko hum
Sahil pe lakar lut gaye
Sahil pe lakar lut gaye
Kya thi khabar
Kya thi khabar
Ghar mein bhi hum
Sukh se na jine payenge
Kabhi ram raj ke din
Ab aayenge ke na aayenge
Aisi hawa aisi faza
Aisa kahi pani nahi
Aisi hawa aisi faza
Aisa kahi pani nahi
Dunia me koi desh bhi
Is desh ka sani nahi
Is desh ka sani nahi
Sansar kya
Sansar kya hai swarg mein
Mitti na aisi payenge
Kabhi ram raj ke din
Ab aayenge ke na aayenge
Dil me yahi arman hai
Ye gulsita jinda rahe
Dil me yahi arman hai
Ye gulsita jinda rahe
Ham ho na ho tum ho na
Hindusta jinda rahe
Hindusta jinda rahe
Markar kabhi
Markar kabhi laute agar
Wapis yahi pe aayenge
Kabhi ram raj ke din
Ab aayenge ke na aayenge
Bharat to hai azad
Hum azad kab kahlayenge
Azab kab kahlayenge
Azab kab kahlayenge
Azab kab kahlayenge.