Falaq se tod ke dekho
Sitare log laaye hain
Magar main woh nahi laya
Jo saare log laaye hain
Koi nazrana lekar aaya hoon
Main deewana tere liye
Koi nazrana lekar aaya hoon
Main deewana tere liye
Aaj chhalka hai khushiyon se
Dil ka paimana tere liye
Koi nazrana lekar aaya hoon
Main deewana tere liye
Sabhi ke dilon ko yeh dhadka raha hai
Samaa saaz-e-dil pe ghazal ga raha hai
Sabhi ke dilon ko yeh dhadka raha hai
Samaa saaz-e-dil pe ghazal ga raha hai
Saari baatein ruk gayi hain
Sabki aankhein jhuk gayi hain
Teri mehfil mein aaya shayar
Koi mastana tere liye
Teri mehfil mein aaya shayar
Koi mastana tere liye
Koi nazrana lekar aaya hoon
Main deewana tere liye
Kahegi nigahein, sunegi nigahein
Zuban se na hogi bayan yeh kahani
Kahegi nigahein, sunegi nigahein
Zuban se na hogi bayan yeh kahani
Ho mubaraq yeh hasin din
Koi samjha na tere bin
Mere chehre pe dil ne likha hai
Ik afsana tere liye
Mere chehre pe dil ne likha hai
Ik afsana tere liye
Koi nazrana lekar aaya hoon
Main deewana tere liye
Tujhe dushmano ki nazar lag na jaaye
Rahein door tujhse sada gham ke saaye
Tujhe dushmano ki nazar lag na jaaye
Rahein door tujhse sada gham ke saaye
Gungunaye tu hamesha
Muskuraye tu hamesha
Gulshan ban jaaye ummeedon ka
Har ek veerana tere liye
Gulshan ban jaaye ummeedon ka
Har ek veerana tere liye
Koi nazrana lekar aaya hoon
Main deewana tere liye
Aaj chhalka hai khushiyon se
Dil ka paimana tere liye
Koi nazrana lekar aaya hoon
Main deewana tere liye