Welcome Entertainment Lover’s

Bade Kaam Ka Bandar Lyrics | Aankhen

                        
                        Meharbaan kadardaan sahibaan
Jo log chori karte hain
Seena jori karte hain
Topi pehan ke dhoka dete hain
Aur paisa lekar jaan lete hain
Unse toh bhala mera bandar hain
Jo apna aur apne
Ustaadon ka pet bharta hain
Aur chain ki zindahi basar karta hain
Toh bachha log bajaaon
Mere bandar ke naam pe taali

Bade kaam ka bandar
Bade kaam ka bandar
Maare toh dharmindar
Hey naache toh jitendar
Roye toh rajendar
Gaur se dekho har hero
Ki khubi iske andar
Jo de uska bhi bhala
Jo na de uska bhi bhala
Jo de uska bhi bhala
Jo na de uska bhi bhala
Jo de uska bhi bhala
Jo na de uska bhi bhala
Jo de uska bhi bhala
Jo na de uska bhi bhala
Bade kaam ka bandar
Bade kaam ka bandar
Maare toh dharmindar
Hey naache toh jitendar
Roye toh rajendar
Gaur se dekho har
Hero ki khubi iske andar

Taaiz bandar ke saat baal ka taaiz
Ek baal seer ka ek eyebrow ka
Ek moochh ka ek daadi ka
Ek chhati ka ek pet ka ek gate ka
Baaki idhar udhar ka hai
Magar bunnu munnu
Public ke dil mein sawal aata hain
Kya aata hain
Yeh taawiz kis kis kaam aata hain
Abhi batata hain
Jo ladki se sharmata hain
Shaadi se ghabrata hain
Joru se saamne aate hi
Sar jiska jhuk jaata hain
Mera yeh taawiz jawaan
Mard ban jaata hain
Bhook yeh jagata hain
Neend yeh badhata hain
Naukri dilata hain
Lottery lagata hain
Achhe numbaro se bachha
Paas ho jaata hain
Aata hai kitne kaam
Ek rupaya hain daam
Woh bhi mehangai badh
Jaane ki wajah se warna
Aathana tha na munnu
Jo le uska bhi bhala jo
Na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala jo
Na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala jo
Na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala jo
Na le uska bhi bhala
Bade kaam ka bandar
Bade kaam ka bandar
Maare toh dharmindar
Hey naache toh jitendar
Roye toh rajendar
Gaur se dekho har
Hero ki khubi iske andar

Bunnu munnu
Humne duniya ko taawiz diya
Magar bandar ne hamare
Liye kya kiya kya kiya
Baap ne hume ghar se nikala nikala
Band kiya kismat ka tala tala
Chhin liya muh se niwala niwala
Banke baap bandar ne pala pala
Ab bolo bachho bandar
Achha ke baap achha bandar
Laut chalo ghar laadlo
Laut chalo ghar laadlo
Binti meri maan lo
Tum hi meri aankhon ke taare
Tum hi ho jeene ke sahare
Haal-e-dil mera jaan lo
Laut chalo ghar laadlo
Laut chalo ghar laadlo

Ghar ki khidkiyaan tumhe pukare
Dhundh rahi tumko deewaren
Kaha gayi mere ghar ki bahaaren
Izzat na neelam karo
Laut chalo ghar laadlo
Laut chalo ghar laadlo

Toda nahi tala hain
Daka nahi dala hain
Chori nahi ki hain
Mehnat se kamaya hain
Dhanda yeh jamaya hain
Mushkil se kutch paya hain
Haai haai munnu jara dhund
Toh re surr kaunsa tha re
Haa jo le uska bhi bhala
Jo na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala
Jo na le uska bhi bhala
Baapu tere pyar se bhar
Aaya mera bhi gala
Baapu tere pyar se bhar
Aaya mera bhi gala
Accha hain je maan gaye
Warn toh cut jaata gala
Accha hain je maan gaye
Warn toh cut jaata gala.