Kab Tak Bane Rahenge Zulmo Ka Hum Nishana Lyrics | Africa

Lyricist : Kumar Sharma Banvasi
Music Director : K Kant , Robin
Singer : Mubarak Begum
                        
                        kab tak bane rahenge zulmo ka hum nishana
kab tak bane rahenge julmo ka hum nishana
takdir me likha tha haye ye gum uthana
haye ye gum uthana

aasha ka chand duba aasha ka chand duba
aur cha gaya andhera hai rat aisi aayi
hai rat aisi aayi jiska nahi sawera
fariyad kare kisse koi nahi thikana
fariyad kare kisse koi nahi thikana
takdir me likha tha haye ye gum uthana
haye ye gum uthana

jiska jaha ho ujada jiska jaha ho ujada
arman lut gaye ho humdard na ho koi
humdard na ho koi sathi bhi chut gaye ho
usko hai sab barabar jina ya maut aana
usko hai sab barabar jina ya maut aana
takdir me likha tha haye ye gum uthana
haye ye gum uthana