ae gardishe zamana kab tak ye gham sahenge
wo din nahi rahe to wo din nahi rahe to
ye bhi nahi rahenge
ab kya basegi duniya ab hoga kya savera
kuchh sujhta nahi hai chhaya hai wo andhera
mayus ho na itna hone ko hai savera
allah to le raha hai ye imtihan tera
malik pe rakh bharosa malik pe rakh bharosa
ye tujhse ham kahenge
ae gardishe jamana kab tak ye gham sahenge
ab ek pal bhi jina mujhko nahi ganwara
ae maut tu kaha hai ab de mujhe sahara
himmat se kam le tu aahen na bhar kudara
ye kah raha hai tujhse rahmat ka ye sitara
sab dur hain ki mushkil sab dur hain ki mushkil
ye din nahi rahenge
ae gardishe zamana kab tak ye gham sahenge
wo din nahi rahe to ye bhi nahi rahenge