daulat ke lalach me
daulat ke lalach me ye dunia kho baithi iman
khuda ko bhul gaya insan khuda ko bhul gaya insan
daulat ke lalach me
daulat ke lalach me ye dunia kho baithi iman
khuda ko bhul gaya insan khuda ko bhul gaya insan
apne bhi begane bane hai khun ka rishta tod ke
beta maa ko thukrata hai nafrat se muh mod ke
nafrat se muh mod ke or hamari is halat pe
or hamari is halat pe hasta hai saitan
khuda ko bhul gaya insan khuda ko bhul gaya insan
dil me gunaho ka hai andhera shama bujhi sachi ki
sunne ko tyar nahi hai koi bat bhalayi ki
koi bat bhalayi ki jaise kisi ko neki badi ki
jaise kisi ko neki badi ki nahi rahi pahchan
khuda ko bhul gaya insan khuda ko bhul gaya insan