kuchh to log kahenge, logo ka kaam hai kahana
chhodo bekar ki bato me kahi bit na jaye raina

kuchh to log kahenge
kuchh rit jagat ki aisi hai, har ek subah ki sham hui

tu kaun hai, tera nam hai kya, sita bhi yaha badnam hui
phir kyun sansar ki bato se, bhig gaye tere naina
kuchh to log kahenge, logo ka kaam hai kahana
chhodo bekar ki bato me kahi bit na jaye raina
kuchh to log kahenge
hamko jo tane dete hai, ham khoye hai in rangraliyo me

hamne unko bhi chhup chhupke, aate dekha in galiyo me
ye sach hai jhuthi baat nahi, tum bolo ye sach hai na