tere sadke balam na kar koi gham
ye samaa ye jahaa phir kahaan
ho, tere sadke balam na kar koi gham
ye samaa ye jahaa phir kahaan
ye samaa ye jahaa phir kahaan
tere sadke balam na kar koi gham
ye samaa ye jahaa phir kahaan
din hai suhaane, phir kaun jaane aaye na aae bahaar
tu gham ko pi le, dam bhar ko ji le
duniya ka kya aetbaar
ho ji piyaa, duniya kaa kya aetbaar
tere sadke balam na kar koi gham
ye samaa ye jahaa phir kahaan
kaanto me daaman ulajhe na saajan
phulo me hans kar guzaar
thodi khushi hai, thodi hansi hai
dukh zindagi me hazaar
ho ji piyaa, dukh zindagi me hazaar
tere sadke balam na kar koi gham
ye samaa ye jahaa phir kahaan
naiya milan ki mauje pavan ki, kahti hai tujhko pukaar
gaataa chalaa chal, hansta chalaa chal
jivan ki nadiyaa ke paar
ho ji piyaa, jivar ki nadiya ke paar
tere sadake balam na kar koi gham
ye samaa ye jahaa phir kahaan
ye samaa ye jahaa phir kahaan
tere sadke balam na kar koi gham
ye samaa ye jahaa phir kahaan