Naino Me Sawan Man Mere Phagoon Lyrics | Anand Math

                        
                        naino me sawan man mere fagun
pal chhin jale aur jalaye
yaad aaye bachpan yaad aaye re
naino me sawan man mere fagun
pal chhin jale aur jalaye
yaad aaye bachpan yaad aaye re
yaad aaye re

na aate nayan me bachpan ke sathi
yaad aaye wo pathshala
yaad aaye re yaad aaye re
yaad aaye re yaad aaye re

banke kisi ki jab rajrani
pahanti thi main phul ki mala
wo din ratiya biti wo batiya
rah rah ke dil ko dukhaye
rah rah ke dil ko dukhaye
babul ka aangan yaad aaye re
yaad aaye re

unse milan ki pahli ghadi thi
magar tod de preet maine
ban banwari haye van van phiri main
ganwaya magar meet maine
banke miti kyu main yu luti kyu
ye soch hardam sataye
ye soch hardam sataye
man ki wo uljhan yaad aaye re
yaad aaye re

man ke hiran mere jata kahan
thi gale me bandhi prem dori
phir se mile jo bichhde sitare
mile apne chanda se bichhdi chakori
man ke hiran mere jata kahan
thi gale me bandhi prem dori
phir se mile jo bichhde sitare
mile apne chanda se bichhdi chakori
ek pal khushi ka chanchal hansi ka
mujhko hansa ke rulaye
mujhko hansa ke rulaye
sapno ka darpan yaad aaye re
yaad aaye re
ek pal khushi ka chanchal hansi ka
mujhko hansa ke rulaye
mujhko hansa ke rulaye
sapno ka darpan yaad aaye re
yaad aaye re

wo tufan, wo tufan
wo tufan bhi yaad aata hai
jisne gher liya jag sara, wo tufan
wo tufan bhi yaad aata hai
jisne gher liya jag sara, wo tufan
gunja tha jab khothi khothi se
kantho se aazadi ka nara, wo tufan
? chattano ko naye samay ki dhara, wo tufan
wo tufan, wo tufan