Dar-O-Divaar Pe Hasarat-E-Nazar Karte Hai Lyrics | Andolan

Lyricist : Ramprasad Bismil
Music Director : S Mittal , Jaidev
Singer : Bhupinder Singh
                        
                        dar-o-divaar pe hasarat-e-nazar karte hai
khush raho ahal-e-vatan ham to safar karte hai

ham bhi aram utha sakte the ghar par rahkar
hamko bhi pala tha man-baap ne dukh sah sahkar
vaqt-e-rukhsat unhe itna bhi na ae kah kar
god me ansu jo tapke kabhi rukh se bahkar
sirf unko hi samjhana
sirf unko hi samjhana, dil ke bahalane ko
sirf unko hi samjhana, dil ke bahalane ko
sirf unko hi samjhana

apni kismat me azar se ye sitam rakha tha
ranj rakha tha ?? gam rakha tha
kisko paravah thi aur kisme ye dam rakha tha
hamne jab vadi-e-qubrat me qadam rakha tha
dur tak yad-e-vatan ayi thi samajhane ko
dur tak yad-e-vatan ayi thi samajhane ko
dur tak yad-e-vatan ayi

dil fida karte hai qubarn jigar karte hai
paas jo kuchh hai vo mata ki nazar karte hai
khana pina kaha se kiye kar kar karte hain
khush raho ahal-e-vatan ham to safar karte hai
jake aabad karenge
jake aabad karenge kisi virane ko
jake aabad karenge kisi virane ko
jake aabad karenge

naujavano yahi mauka hain utho khul khelo
khidmat-e-kaum me jo aaye bala sab jhelo
desh azad ho kya gam hai javani de do
phir milegi na ye mata ki duaayein le lo
dekhe kaun ata hain ye farz baja lane ko
dekhe kaun ata hain ye farz baja lane ko