karaar khoyaa mohabbat me is zamaane ne
ye baat sach hi kahi hai kisi divaane ne
ke jaan chali jaaye jiyaa nahi jaaye
jiyaa jaaye to phir jiyaa nahi jaaye
ke jaan chali jaaye jiyaa nahi jaaye
jiyaa jaaye to phir jiyaa nahi jaaye
ye ilzaam sar pe liyaa nahi jaaye
liyaa jaaye to phir jiyaa nahi jaaye
ke jaan chali jaaye ho
zamaane me nahi divaana hum sa
zamaane me nahi divaana hum sa
divaana nahi ye zamaana hum sa
ye kyaa jaane ye kyaa samajhe ye baate pyaar ki
ye kyaa jaane ye kyaa samajhe ye baate pyaar ki
ke pyaar har kisi se kiya nahi jaaye
kiya jaaye to phir jiyaa nahi jaaye
ke jaan chali jaaye ho
na aaye kabhi nind na aaya hai karaar
na aaye kabhi nind na aaya hai karaar
hamaari tauba hum nahi karenge pyaar
bas laao dil hamara hamko de do o sanam
bas laao dil hamara hamko de do o sanam
ye dil le ke vaapas diyaa nahi jaaye
diyaa jaaye to phir jiyaa nahi jaaye
ke jaan chali jaaye ho
churaa ke nazre na dekho tum ye phul
churaa ke nazre na dekho tum ye phul
suno ye berukhi hume nahi kubul
yaa hum jaaye ya keh do ye bahaar chali jaaye
yaa hum jaaye ya keh do ye bahaar chali jaaye
bahaar chali jaaye piyaa nahi jaaye
piyaa jaaye to phir jiyaa nahi jaaye
ke jaan chali jaaye jiyaa nahi jaaye
jiyaa jaaye to phir jiyaa nahi jaaye
ke jaan chali jaaye.