rim-jhim ke geet saavan gaaye, haay
bhigi-bhigi raato me
rim-jhim ke geet saavan gaaye, haay
bhigi-bhigi raato me
hotho pe baat dil ki aaye, haay
bhigi-bhigi raato me
teraa meraa puchhe naata
badi vo ye ghata ghanghor hai
chup hun aise me kah dun kaise
meraa saajan nahi tu koi aur hai
ke teraa naam, hotho pe mere, tere
sapne meri aankho me
ke rim-jhim ke geet saavan gaaye, haay
bhigi-bhigi raato me
mera dil bhi hai divaanaa
tere naina bhi hai naadan se
kuchh na sochaa, kuchh na dekha
kuchh bhi puchha na ek anjaan se
chal pade saath hum kaise, aise
ban ke saathi, raaho me
ke rim-jhim ke geet saavan gaaye, haay
bhigi-bhigi raato me
badi lambi ji ki baate
badi chhoti ye barkhaa ki raat ji
kahnaa kyaa hai, sunnaa kyaa hai
kahne sunne ki ab kyaa hai baat ji
bin kahe, bin sune dil ne dil se
kar li baate, baato me
ke rim-jhim ke geet saavan gaaye, haay
bhigi-bhigi raato me
rim-jhim ke geet saavan gaaye, haay
bhigi-bhigi raato me.