dil tut gaya hai apna
ek tere jane se
baate wo mohabbat ki
lagte hai fasane se
dil tut gaya hai apna
mitke ye bata denge bedard zamane se
kabhi pyar nahi hai marta
judai ke aane se
mitke ye bata denge
gulshan se chand kaliya main todke laya tha
ek baag mohabbat ka maine bhi sajaya tha
afsos raha kuch na tufan ke aane se
dil tut gaya hai apna
ruswaiyo ke dar se hum aah nahi bharte
zakhmo se bhara dil hai uf tak bhi nahi karte
ye zakhm na kam honge duniya ko dikhane se
mitke ye bata denge
bah jayenge ye arma aaho me dhal dhal ke
hum raakh ho jayenge is aag me jal jal kar
ab aur milega kya ulfat ke khazane se
dil tut gaya hai apna
ek tere jane se
mitke ye bata denge bedard zamane se
dil tut gaya hai apna