kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
aao chhed de taraane zara pyaar ke
dekho kaali kaali ye ghataayen
chali jaayen na ji hamko pukaar ke
kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
tum saath raho jo mere, main raahen nayi bana loon
teri raahon ke kaanten, apni palkon se uthaa loon
tu mera pyaar meri bahaar, mera singaar sajnaa
kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
aao chhed de taraane zara pyaar ke
dekho kaali kaali ye ghataayen
chali jaayen na ji hamko pukaar ke
kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
is duniya ki nazron se, aa door kahin kho jaayen
ji bhar ke jahaan dil jhoome
ham geet milan ke gaayen, saare jag ko chhod
liya tujh se jod jeewan ye maine apnaa
kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
aao chhed de taraane zara pyaar ke
dekho kaali kaali ye ghataayen
chali jaayen na ji hamko pukaar ke
kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
ham ik manzil ke raahi, bichhdenge kabhi na milke
duniya waale kyaa jaanen, armaan hamare dil ke
kaho dil ki baat, din ho ya raat
rahoon tere saath sajnaa
kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
aao chhed de taraane zara pyaar ke
dekho kaali kaali ye ghataayen
chali jaayen na ji hamko pukaar ke
kaise bheege bheege pyaare hain nazaare