Koi Na Ho Is Jag Me Data Ankho Se Majbur Lyrics | Apna Ghar

                        
                        koi na data is jag me ankho se majbhur
dunia me rah kar bhi hum hai is dunia se dur
ankhe badi hai nemat baba ankhe badi hai nemat baba
jinse jag ujiyara andho par kya gujare
ye kya jane ankho vala ankhe badi hai nemat baba
baba baba ankhe badi hai nemat baba

oro ki to rat andheri apna din bhi andhera
oro ki to rat andheri apna din bhi andhera
hum hai jaha par us dunia par kabhi na hua sawera
suraj chand sitare sab ko suraj chand sitare sab ko
dekha humne kala ankhe badi hai nemat baba
baba baba ankhe badi hai nemat baba

kadam kadam par thokar khaye rah chali na jaye
kadam kadam par thokar khaye rah chali na jaye
fir te hai apne kandhe par apni lash uthaye
jiwan bhi ek bojh bana hai jiwan bhi ek bojh bana hai
kab tak jaye sambhala ankhe badi hai nemat baba
baba baba ankhe badi hai nemat baba

kab tak yu hi sahte jaye dunia ke tano ko
nur chhina data behra bhi kar de kano ko
dekh liya ji bhar ke humne
tera khel nirala tera khel nirala
dekh liya ji bhar ke humne tera khel nirala
ankhe badi hai nemat baba
ankhe badi hai nemat baba ankhe badi hai nemat baba
jinse jag ujiyara andho par kya gujare
ye kya jane ankho vala ankhe badi hai nemat baba