Char Char Hai Lutere Lyrics | Apna Khoon

Lyricist : Verma Malik
Music Director : Sonik-Omi , Sonik-Omi
Singer : Asha Bhosle , Omi
                        
                        char char hai lutere aur ek ladki
ho bure logo me fansi hai dekho nek ladki
char char hai lutere aur ek ladki
bure logo me fansi hai dekho nek ladki
tu leke aaja rupaiya are baanke sipahiya
baje de baja de
inka dhinak dhinak ta thaiya thaiya
o char char hai lutere aur ek ladki

insano ke chole me ho
insano ke chole me ho
tum chhupe huye shaitan
paise paise ki khatir kyu bech rahe imaan
pal bhar me hi utar jayegi
ye sab jhuthi masti
mit gaye bade bade jalim
tum jaiso ki kya hasti
tum sab pe
o tum sab pe hai bhari aisi ek ladki
bure logo me fansi hai dekho nek ladki
tu leke aaja rupaiya are baanke sipahiya
baja de inka dhinak dhinak ta thaiya thaiya
o char char hai lutere aur ek ladki

jisko chahiye pyar ka jaam
bole apna apna naam
tera naam gangaram
aur tera naam jamunadas
dhat teri ki satyanash
nama tumhara hai ganga jamuna
nama tumhara hai ganga jamuna
aur karte ho ye kaam
dub maro besharmo isme
ye pada hai jaam
nashe ki khatir apni aatma
deta hai ye dhokha
aadmi itna gir sakta hai
pahli baar hai dekha
huyi kitni
huyi kitni hairan dekh dekh ladki
bure logo me fansi hai dekho nek ladki
tu leke aaja rupaiya are baanke sipahiya
baje de baja de
inka dhinak dhinak ta thaiya thaiya
char char hai lutere aur ek ladki