Banegi asha ik din teri yeh nirasha
Kaahe ko roye chahe jo hoye
Safal hogi teri aradhna kaahe ko roye
Kaahe ko roye chahe jo hoye
Safal hogi teri aradhna kaahe ko roye
Diya toote to hai maati jale to yeh jyoti bane
Diya toote to hai maati jale to yeh jyoti bane
Bahe aansu to hai paani ruke to yeh moti bane
Ho yeh moti ankhon ki punji hai yeh na khoye
Kaahe ko roye chahe jo hoye
Safal hogi teri aradhna kaahe ko roye
Sama jaaye ismein tufaan
Jiya tera sagar samaan
Sama jaaye ismein tufaan
Jiya tera sagar samaan
Nazar teri kaahe naadan
Chhalak gayi gaagar samaan
Ho jaane kyon toone yoon
Asuvan se nain bhigoye
Kaahe ko roye chahe jo hoye
Safal hogi teri aradhna kaahe ko roye
Kahin pe hai dukh ki chhaya
Kahin pe hai khushiyon ki dhoop
Kahin pe hai dukh ki chhaya
Kahin pe hai khushiyon ki dhoop
Bura bhala jaisa bhi hai
Yahi to hai bagiya ka roop
Phoolon se kaanton se maali ne haar piroye
Kaahe ko roye chahe jo hoye
Safal hogi teri aradhna
Safal hogi teri aradhna kaahe ko roye
Kaahe ko roye, kaahe ko roye