aasman bhi harta hai, zamin pe waqt guzarta hai
phir se unchaiyo ki chah me
zindagi jo tutati hai, nind sari ruthti hai
honsla mil hi jata hai raah me
phir udega dil un udano me, phir ladega dil do jahano se
jeetne ke liye o, jeetne ke liye, jeetne ke liye
kehte hai ye irade sabhi, tuta hu main bikhra nahi
dhup me jo pighal jaaye, mai wo barf ka tukda nahi
na darega dil in tufano se, phir ladega dil do jahano se
jeetne ke liye o, jeetne ke liye, jeetne ke liye
din me dekhi rate kayi, hone lagi subah nayi
andhero ki dararo se ab dikhne lagi hai roshni
na darega dil imtihano se, phir ladega dil do jahano se
jeetne ke liye o, jeetne ke liye, jeetne ke liye