duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
roshni karne ko roj suraj aata
raat ko chup-chaap chand pehra lagaata
daso dishaao me pavan pankhe dulata
lakho parindo ka jhund jhum ke gata
wah re wah re vidhata
are wah re wah re vidhata kya khub tere kaam
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji
ajab tera jadu hai ajab tera khel
jalte hain taro ke deeye roj bina tel
aag kaa hota nahi pani se kabhi mel
phir bhi baadlo me lagi bijliyo ki bel
gehre samandar ke bhi andar hai dhum dham
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji
kuchh jarur hai teri kudrat me karaamat
kuchh jarur hai
kuchh jarur hai teri kudrat me karaamat
tere ishare pe yaha ban rahi har baat
ye jamin ye gagan, ye prakash ye pavan
ye samudra ye pahaad ye ghiri ghata sa van
tune har ek cheej luta di hai bina dam
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji