ab ye bata jaye kaha kismat ke thukraye huye
gam se ghabraye huye jine se uskaye huye
ab ye bata jaye kaha
raasta anjan manzil ka pata kuchh bhi nahi
apni raah me andhere ke siva kuchh bhi nahi
gam ke hai ghanghor baadal dur tak chaye huye
ab ye bata jaye kaha ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha
apne armano ka lutta karwa dekha kiye
aashiya jalta raha hum bejuba dekha kiye
chand aasu rah gaye palko pe tharraye huye
ab ye bata jaye kaha ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha
kya yahi duniya hai ae duniya ke rakhwale bata
kya yahi insaaf hai ae aasma wale bata
ji rahe hai sekado jine se sharmaye huye
ab ye bata jaye kaha ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha
ab ye bata jaye kaha kismat ke thukraye huye
gam se ghabraye huye jine se uskaye huye
ab ye bata jaye kaha