dukh sah ke jo sukh pahuchati hai
dukh sah ke jo sukh pahuchati hai
us mamta ko rushwa na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo
tum maa ho tum aisa na karo
dukh sah ke jo sukh pahuchati hai
us mamta ko rushwa na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo
tum maa ho tumhi se insan ko
ye jism mila or ye jan mili
neki ka chalan ima ki lagan sachai ki pahchan mili
kudrat ne diya hai jo rutba us rutbe ko nicha na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo
tum maa ho tumhe is dunia me jano ki hifazat karna hai
thukrake har ek khudgarzi ko insano ki khidmat karna hai
tum naslo ki kheti sichti ho tum jano ka sauda na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo
tum achi tarah pahchanti ho aulad ka gum kya hota hai
ye teere sitam kya hota hai, ye bar aalam kya hota hai
har maa jo tum ka darja nahi, maa hone ka dawa na karo
tum maa ho, tum maa ho tum aisa na karo