Dur Se Karna Nazara Lyrics | Babul Ki Galiyan

                        
                        dur se dur se karna najara haath na lagana
paas nahi aana jeneja o janeja
dur se karna najara hath na lagana
paas nahi aana jeneja o janeja

chhodo chhodo na dekho
dekho badnam na karo raat ki tanhaai ko
aisi baat achhi lagti hai kisi harzaai ko
yaari wahi jo chale aaj bhi kal bhi parso bhi
yaari wahi jo chale aaj bhi kal bhi parso bhi
raat ki raat me jo khatm ho gaya
wo fasana kya fasana
dur se karna najara haath na lagana
paas nahi aana jeneja o janeja

shamma pe aaya ghabrake parwana
apne hi pankh jalaye
shamma ko samjhaye lekin deewana
jalne se baaj na aaye
kahte hai pyar jise aag hi aag hai
kahte hai pyar jise aag hi aag hai
aag ko gale na lagana
dur se karna najara haath na lagana
paas nahi aana jeneja o janeja
dur se karna najara haath na lagana
paas nahi aana jeneja o janeja