Thartharaate hain lamhe,
Waqt rukh badalta hai
Door saahilon par,
Kahin din ye dhalta hai
Thartharaate hain lamhe,
Waqt rukh badalta hai
Door saahilon par,
Kahin din ye dhalta hai
Qatra qatra sannata
Moum sa pighalta hai
Khelne waala koi nahi khel
Phir bhi chalta hai
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wahin reh jaayein
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Aankhon pe bharosa na kar
Dhokha hai har ek manzar
Milte hain jo gale khulke
Wohi waar karein chhup kar
Aankhon pe bharosa na kar
Dhokha hai har ek manzar
Milte hain jo gale khulke
Wohi waar karein chhup kar
Shor mein hai sargoshi
Hosh mein hai behoshi
Honth sab ke sil jaayenge
Bolegi jab khamoshi
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wahin reh jaayein
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Kuch halka kuch gehra
Raaz hai lab pe thehra
Jaal ke andar jaal hai
Chehre pe hai chehra
Kuch halka kuch gehra
Raaz hai lab pe thehra
Jaal ke andar jaal hai
Chehre pe hai chehra
Hansti aankhon waale sabhi
Meethi baaton waale
Hothon se naa chhoona kabhi
Ye zeher ke pyaale
Sau chehre aayein jaayein
Yaadon mein wahin reh jaayein
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..
Beparwah, beparwah ho jaayein jo..