Raaz Ki Ek Baat Hai Lyrics | Bada Kabutar

Lyricist : Yogesh Gaur
Music Director : R D Burman , R D Burman
Singer : Asha Bhosle
                        
                        Raaz ki ek baat hai, raaz ki ek baat hai
Baat ye raaz ki ab na rahne do haye
Kanpte kanpte hotho se kahne do
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam

Chhata hai mujh par jab koi nasha
Aankhe ho jati hai gulabi
Bahki bahki chalti hu, re re
Chhata hai mujh par jab koi nasha
Aankhe ho jati hai gulabi
Bahki bahki chalti hu
Chalti hu mai jaise sharabi hoti hu mai
Yun jagi jagi
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
Kyu raaz ki ek baat hai, raz ki ek baat hai
Baat ye raaz ki ab na rahne do haye
Kanpte kanpte hotho se kahne do
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam

Puchhe jab koi ye hal kya sujhe nahi
Koi bhana, gahri gahri sans lu
Puchhe jab koi ye hal kya sujhe nahi
Koi bhana, gahri gahri sans lu, mai sans lu
Dekhe zamana kya ban gayi mai ek fsana
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
Kyu raaz ki ek bat hai, raaz ki ek bat hai
Baat ye raaz ki ab na rahne do haye
Kanpte kanpte hotho se kahne do
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam

Aa re jane jaa mai du ye bata
Ha ye mera raaz kya hai kab ye kaise kahu
Aa re jane jaa mai du ye bata
Ha ye mera raaz kya hai kab ye kaise kahu
Haye kya kahu dil kho gaya hai
Tumse mujhe pyar ho gaya, pyar ho gaya
Aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam.