Bazar se zamane ke,
Kuchh bhi na ham kharidege
Bazar se zamane ke,
Kuchh bhi na ham kharidege
Haan, bechkar khushi apni
Logo ke gam kharidege
Bujhte diye jalane ke liye
Bujhte diye jalane ke liye
Tu ji, ai dil, zamane ke liye
Apne liye jiye to kya jiye
Himmat buland hai apni
Patthar si jaan rakhte hai
Himmat buland hai apni
Patthar si jaan rakhte hai
Kadmo tale zami to kya
Ham aasmaa rakhte hai
Girte huo ko uthane ke liye
Girte huo ko uthane ke liye
Tu ji, ai dil, zamane ke liye
Apne liye jiye to kya jiye
Chal aaftaab le kar chal
Chal mahtaab le kar chal
Chal aaftaab le kar chal
Chal mahtaab le kar chal
Tu apni ek thokar me
Sau inqalaab lekar chal
Julm-o-sitam mitane ke liye
Julm-o-sitam mitane ke liye
Tu ji, ai dil, zamane ke liye
Apne liye jiye to kya jiye
Apne liye jiye to kya jiye
Tu ji, ai dil, zamane ke liye
apne liye jiye to kya jiye.