rula kar chal diye ik din hansi ban kar jo aaye the

chaman ro-ro ke kahta hai
chaman ro-ro ke kahta hai, kabhi gul muskuraye the

agar dil ke zuba hoti to ye gam kuch kam to ho jata
ye gam kuch kam to ho jata

udhar vo chup, idhar sine me hum tufan chhupaye the
chaman ro-ro ke kahta hai
chaman ro-ro ke kahta hai, kabhi gul muskuraye the
rula kar chal diye ik din hansi ban kar jo aaye the
ye achchha tha na hum kahte kisi se dasta apni
kisi se dasta apni

samjh paye na jab apne, paraye to paraye the