Mai yaha too waha zindagi hai kaha
Mai yaha too waha zindagi hai kaha
Mai yaha too waha zindagi hai kaha
Too hi too hai sanam dekhta hu jaha
Nind aati nahi yad jati nahi
Nind aati nahi yad jati nahi
Bin tere abb jiya jaye naa
Mai yaha too waha zindagi hai kaha
Waqt jaise thehar gaya hai
Yahi har taraf ek ajab udasi hai
Bekarari kaa aisa aalam hai
Jism tanha hai ruh pyasi hai
Teri surat abb ek pal
Kyun najar se hatati nahi
Rat din toh kat jate hain
Umrr tanhaa katati nahi
Chah ke bhi naa kuchh
Kah saku tujhse mai
Chah ke bhi naa kuchh
Kah saku tujhse mai
Dard kaise karu mai baya
Mai yaha too waha
Zindagi hai kaha
Jab kahi bhi aahat huyi
Yu laga ke too aa gaya
Khushbu ke jhonke ki
Tarah meri sanse mahka gaya
Ek woh daur tha ham sada pas the
Ek woh daur tha ham sada pas the
Abb toh hain fasle darmiya
Mai yaha too waha zindagi hai kaha
Biti bate yad aati hain
Jab akela hota hu mai
Bolti hain khaamoshiya
Sabse chhupke rota hu mai
Ek aarsa huwa muskuraye huye
Ek aarsa huwa muskuraye huye
Aansuo me dhali dastan
Mai yaha too waha zindagi hai kaha
Too hi too hai sanam dekhta hu jaha
Nind aati nahi yad jati nahi
Nind aati nahi yad jati nahi
Bin tere abb jiya jaye naa.