wo ghar me aaye humaare khuda ki kudrat
kabhi hum unko kabhi apne ghar ko dekhate hai
tujhe iski khabar kya, tujhe iski khabar kya
tere deewane pe kya gujari, tujhe iski khabar kya
tere deewane pe kya gujari, tere aane pe kya biti
tere jaane pe kya gujari, tujhe iski khabar kya
tumhaari ek hansi ne kar diya jakhme jigar gahra
tumhaari ek hansi ne kar diya jakhme jigar gahra
mai apne hosh me kab hu ajab haal hai mera
chaman kya jaan sakta hai ki viraane pe kya gujari
tujhe iski khabar kya, tere deewane pe kya gujari
tujhe iski khabar kya
na dekho berukhi se ye hasi armaan kahte hai
na dekho berukhi se ye hasi armaan kahte hai
navajis tumse kab hogi jawaa tufaan kahte hai
bataaye kya ki is dil pe sanamkhaane pe kya gujari
tujhe iski khabar kya, tere deewane pe kya gujari hai
tujhe iski khabar kya
tumhaari to adaa hogi kisi ki jaan jayegi
pukaarega koi kitana magar vapas naa aayegi
sahegi haal-e-dil ki mar jaane pe kya gujari
tujhe iski khabar kya, tere deewane pe kya gujari hai
tere aane pe kya biti, tere jaane pe kya gujari
tujhe iski khabar kya