Nikle the kaha jane ke liye,
Pahunche hai kaha malum nahi
Pahunche hai kaha malum nahi
Abb apne bhatkate kadmo ko,
Manjil ka nisha malum nahi
Manjil ka nisha malum nahi
Hamne bhi kabhi ho
Hamne bhi kabhi iss gulshan me,
Ek khwabe bahara dekha tha
Ek khwabe bahara dekha tha
Kab phul jhade
Kab phul jhade kab gard udi,
Kab aayi khija malum nahi
Kab aayi khija malum nahi
Abb apne bhatkate kadmo ko,
Manjil ka nisha malum nahi
Manjil ka nisha malum nahi
Dil shola e gham
Dil shola e gham se khak huwa,
Ya aag lagi aramano me
Ya aag lagi aramano me
Kya chiz jali
Kya chiz jali kyon sine se
Utha hai dhuwa malum nahi
Utha hai dhuwa malum nahi
Abb apne bhatkate kadmo ko,
Manjil ka nisha malum nahi
Manjil ka nisha malum nahi
Barabad wafa ho
Barabad wafa ka afasana
Ham kise kahe, aur kaise kahe
Ham kise kahe, aur kaise kahe
Khamosh hain lab
Khamosh hain lab aur duniya ko
Ashko ki juban malum nahi
Ashko ki juban malum nahi
Nikle the kaha jane ke liye,
Pahunche hai kaha malum nahi
Pahunche hai kaha malum nahi
Abb apne bhatkate kadmo ko,
Manjil ka nisha malum nahi
Manjil ka nisha malum nahi.