Chhupa le dag e jigar daag e dil zamane se
Ki dard aur badhega inhe dikhane se
Aye dard e jigar, fariyad na kar
Bahate hai to aansu bahane de
Aye dard e jigar, fariyad na kar
Bahate hai to aansu bahane de
Sahil ki tamanna karta ja
Manjhdhar me kashti rahne de
Aye dard e jigar, fariyad na kar
Bahate hai to aansu bahane de
Aye dard e jigar
Hamko to zamane se apna
Dukh dard chupaye rahna hai
Hamko to zamane se apna
Dukh dard chupaye rahna hai
Ho jaye na apni rusawai
Har zulm ko has kar sahne de
Aye dard e jigar, fariyad na kar
Bahate hai to aansu bahane de
Aye dard e jigar
Dil saup chuke hai ham jin ko
Ab unse shikwa kya karna
Dil saup chuke hai ham jin ko
Ab unse shikwa kya karna
Jis hal me rakhna chahe wo
Us hal me ham ko rahne de
Aye dard e jigar, fariyad na kar
Bahate hai to aansu bahane de
Sahil ki tamanna karta ja
Manjhdhar me kashti rahne de
Aye dard e jigar.