ae vighnaharta, hai bappa vighnaharta
sahastra bhakt jan ka tu ek karta-dharta
hai dwesh mukt mann wo tu jisme vaas karta
isiliye to sabse pehle bole bappa morya re
ae vighnaharta, hai bappa vighnaharta
tilak tera hai maathe pe jiske bhi nikharta
woh karam ki kasauti pe hai khara utarta
isiliye to sabse pehle bole bappa morya re
ae re bappa tu srishti ko chalata hai
re bappa tu sadmati ka daata hai
re bappa tu bhagya ka vidhata hai
re bappa re, bappa re, bappa re, bappa re
morya re, morya re
naam jo tera dil se pukaare
uski lagi hai naiya kinaare
jab jab baaje baaje danka tera
bappa danka tera, bappa danka tera
badhkar badkismato ki tu bigdi sanvare
ae vighnaharta, hai bappa vighnaharta
ae vighnaharta, hai bappa vighnaharta
vinaash paap ka ho, tu pag jahaan pe dharta
achang tera tamas me bhi hai prakash bharta
isiliye to sabse pehle bole bappa morya re
ae re bappa tu srishti ko chalata hai
ae re bappa tu sadmati ka daata hai
re bappa tu bhagya ka vidhata hai
re bappa re, bappa re, bappa re, bappa re
morya re, morya re, morya re, morya re
ganpati bappa morya