Khuda Bhi Na Dikhe Lyrics | Barkhaa

                        
                        Ye kaisi kashmakash hai,
Ye kaisi rehguzar hai
Ye kaisi kashmakash hai,
Ye kaisi rehguzar hai

Main uljha hoon, pareshaan hoon
Main uljha hoon, pareshaan hoon
Huyi kya mujhse aisi khata

Khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
Jahan tak jaaye nazrein,
Dhuaan hi dhuaan dikhe

Khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
Jahan tak jaaye nazrein,
Dhuaan hi dhuaan dikhe


 
Ret ka mahal woh tha,
Lehron mein shayad jo beh gaya

Ret ka mahal woh tha,
Lehron mein shayad jo beh gaya
Khwaahishon ka aashiyaan,
Chand saansein lekar ke deh gaya

Rabba khud ke hi saaye,
Lage aaj paraye
Rabba khud ke hi saaye,
Lage aaj paraye

Main uljha hoon, pareshaan hoon
Main uljha hoon, pareshaan hoon
Huyi kya mujhse aisi khata

Khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
Jahan tak jaaye nazrein,
Dhuaan hi dhuaan dikhe

Zindagi ne ishq mein,
Mujhe aise manzar dikhaaye hain
Zindagi ne ishq mein,
Mujhe aise manzar dikhaaye hain

Palkon pe meri sada,
Ashqo ke badal hi chhaaye hai
Rabba chain na aaye, din rein sataye
Rabba chain na aaye, din rein sataye

Main uljha hoon, pareshaan hoon
Main uljha hoon, pareshaan hoon
Huyi kya mujhse aisi khata

Khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
Jahan tak jaaye nazrein,
Dhuaan hi dhuaan dikhe

Dard ka hai silsila,
Seene mein ghum be-shumaar hai

Dard ka hai silsila,
Seene mein ghum be-shumaar hai
Chaahatein ek mili haan,
Mile zakhm mujhko hazaar hai

Rabba pal hi mein jaise,
Sau khwaab hai toote
Rabba pal hi mein jaise,
Sau khwaab hai toote

Main uljha hoon, pareshaan hoon
Main uljha hoon, pareshaan hoon
Huyi kya mujhse aisi khata

Khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
Jahan tak jaaye nazrein,
Dhuaan hi dhuaan dikhe.