abhi to dua de ke bachpan gaya hai
abhi dil ke lakho fasane banenge
abhi ek mujhse paresan ho tum
abhi to hazaro diwane banenge
abhi to dua de ke bachpan gaya hai
abhi dil ke lakho fasane banenge
ye julfe tumhari kamar tak to aale
o fir dekhna tum hai kya inme jadu
ye aankho ke dore gulabi to hole
to fir dekhna kitne dil hai bekabu
salamat rahe ye nigaho ke khanjar
hazaro bhi inke nishane banenge
abhi to dua de ke bachpan gaya hai
abhi dil ke lakho fasane banenge
hamari mohabbat ka arman lekar
kahi koi aasu bahata milega
khyalo me ye gum ko apna samjh kar
koi nojawa muskurata milega
kahi hamse ek bar milne ki khatir
khuda jane kitne bahane banenge
abhi to dua de ke bachpan gaya hai
abhi dil ke lakho fasane banenge
jara fail jane do galo ki khusbu
jawani jara rang par aa to jaye
to fir aap jaise hi dil fek majnu
khade honge raho me aankhe bichaye
magar ye na socho ke unke liye bhi
yahi jindagi ke tarane banenge
abhi to dua de ke bachpan gaya hai
abhi dil ke lakho fasane banenge
abhi ek mujhse paresan ho tum
abhi to hazaro diwane banenge
abhi to dua de ke bachpan gaya hai
abhi dil ke lakho fasane banenge