ai pyase dil bejuban tujhko le jau kaha
ai pyase dil bejuban tujhko le jau kaha aa
aag ko aag me dhal ke kab tak jee behlayega
ai pyase dil bejuban
ghata jhuki aur hawa chali toh hamne kisi ko yad kiya
chahat ke virane ko unke ghum se aabad kiya
ghata jhuki aur hawa chali toh hamne kisi ko yad kiya
chahat ke virane ko unke ghum se aabad kiya
ai pyase dil bejuban mausam kee yeh mastiya aa
aag ko aag me dhal ke kab tak jee bahalayega
ai pyase dil bejuban
tare nahi angare hain woh, ab chand bhi jaise jalta hai
nind kaha sine pe koyi bhari kadmo se chalta hai
tare nahi angare hain woh, ab chand bhi jaise jalta hai
nind kaha sine pe koyi bhari kadmo se chalta hai
ai pyase dil bejuban dard hai teri dastan aa
aag ko aag me dhal ke kab tak jee bahalayega
ai pyase dil bejuban
kaha woh din abb kaha woh rate, tum ruthe kismat ruthi
gair se bhed chhupane ko ham hanste phire hansi jhuthi
ai pyase dil bejuban lut ke raha tera jahan aa
aag ko aag me dhal ke kab tak jee bahalayega
ai pyase dil bejuban