khabar kisi ko nahi vo kidhar ko dekhte hai
ye kaun jane ki dil ya jigar ko dekhte hai
nazar bacha ke ham unki nazar ko dekhte hai
nazar bacha ke ham unki nazar ko dekhte hai
jo bekhabar hai usi bekhabar ko dekhte hai
duaye mang rahe hai hay asar ko dekhte hai
duaye mang rahe hai asar ko dekhte hai
duaye mang rahe hai asar ko dekhte hai
suna hai unko bhi ham bekaso se ulfat hai
koi batao ki kaisi hamari kismat hai
dhadak raha hai dil apni ajib halat hai
vo aaye hamare ghar me khuda ki kudrat hai
kabhi ham unko ko kabhi apne ghar ko dekhte hai
duaye mang rahe hai asar ko dekhte hai
duaye mang rahe hai asar ko dekhte hai
aji ye ishq dekhiye kya din dikhane vala hai
zarur koi naya gul khilane vala hai
chaman se aur kahi leke jane vala hai
javab khat ka mere aaj aane vala hai
are bhai zarur ayega
kabhi ghadi ko kabhi nambar ko dekhte hai
duaye mang rahe hai asar ko dekhte hai
duaye mang rahe hai asar ko dekhte hai