michael hai to cycle hai michael jo nahi cycle bhi nahi
arey michael hai to cycle hai michael jo nahi cycle bhi nahi
dil hai to dildar bhi hai dildar nahi to dil bhi nahi
rangat hai mere hi dam se tere nikhar ki
rangat hai mere hi dam se tere nikhar ki
bulbul hu mai bhi jo tu kali hai bahar ki
ho mai na hu to hai bekar tera jhumna
badal hai tu to mai barkha hu tere pyar ki
arey badal hai to barkha hai barkha jo nahi badal bhi nahi
michael hai to cycle hai michael jo nahi cycle bhi nahi
ulfat pe kurbna hu mai dekh to jaiye
ulfat pe kurban hu mai dekh to jaiye
naino me aake mere jhul jhul jaiye
ulfat ka chor banke dil ko na kho jana
ganga hu preet ki mai ye na bhul jaiye
arey jal hai to ganga bhi hai ganag hi nahi to jal bhi nahi
arey michael hai to cycle hai michael jo nahi cycle bhi nahi
ji ab to kah dalo kahne ki bat aaj ki
ji ab to kah dalo kahne ki bat aaj ki
kahe ko baithi ho tasvir banke laz ki
kah dungi kah dungi ek din abhi jaldi hai kya
dil me tumhare kyu halchal padi hai aaj ki
arey aaj jo hai to kal bhi hai jo aaj nahi to kal bhi nahi
michael hai to cycle hai michael jo nahi cycle bhi nahi
dil hai to dildar bhi hai dildar nahi to dil bhi nahi
arey michael hai to cycle hai michael jo nahi cycle bhi nahi