Ek kahani apni samjho ya begani
Suno sunau ek kahani
Bees baras huye ek nagar mein
Munni aayi kisi nagar mein
Jhulo jhuli godo kheli
Nanhi munni wo albeli
Thumak thumak kar aati jati
Sare ghar ko nach nachati
Thumak thumak kar
Dheere dheere bachpan bita
Jhum machati aayi jawani
Aayi jawani aayi jawani
Mast jawani kya kya layi
Masti mein dubi angdayi
Baat baat par sarma jana
Aanchal dato tale dabana
Baat baat par
Baat baat par sarma jana
Aanchal dato tale dabana
Naye nazare naye tarane
Nayi mahfile nayi kahani
Aayi jawani aayi jawani
Aayi jawani
Suno sunau naya fasana
Kali bani jab phul suhana
Suno sunau naya fasana
Nayi umange dil mein jagi
Kisi se uski ankhiya lagi
Ankhiya lagi ankhiya lagi
Dilse dil ki baat ho gayi
Khushio ki barsat ho gayi
Ban kar bigda khel suhana
Dard bhara ab suno fasana
Pyar bhare dil mil sakte the
Phool khushi ke khil sakte the
Bich dahej ki baat aa gayi
Dub gaya din raat aa gayi
Kimat bees hazar thi war ki
Khatre mein izzat thi ghar ki
Tumhi kaho ab kya karti
Bechari
Bechari jeeti ya marti
Is jeene se marna achha
Maut ke ghat utarna achha
Duniya walo
Duniya walo dil ke kalo
Apna yeh sansar sambhalo
Jis duniya mein pyar nahi
Wo mera sansar nahi.