ye jo ghar aangan hai
aisa aur kaha hai
billu bhaiya ram hamare
billu bhaiya ram hamare
devi jaisi ma hai
ye jo ghar aangan hai
ma ka aanchal sabse pawan
apne sar ki chhaya
maine payi sari duniya
jab se ma ko paya
hanste gate jivan sabke
khushiyo me lehraye
jitne kante ho raste ke
wo mujhko mil jaye
wo mujhko mil jaye
ye jo ghar aangan hai
aisa aur kaha hai
billu bhaiya ram hamare
billu bhaiya ram hamare
devi jaisi ma hai
ye jo ghar aangan hai
miljul kar hum yuhi har
paldukh sukh bante apne
ek hi rasta ek hi manjil
ek hi sabke sapne
ek janam kya janam janam tak
sath rahe hum sare
ek duje ka pyar hamesha
man me rahe hamare
man me rahe hamare
ye jo ghar aangan hai
aisa aur kaha hai
billu bhaiya ram hamare
billu bhaiya ram hamare
devi jaisi ma hai
ye jo ghar aangan hai.