jahan me jinki umeedo ke bede paar hote hain
woh khushkismat hazaaro me kahin do char hote hain
bahut purdard hai ae sunne walo daastan meri
ho gham ki daastan meri
hazaaro ranj hai aur ek jaan-a-natwa meri
ho jaan-a-natwa meri
bahut purdard hai ae sunne walo daastan meri
ho gham ki daastan meri
safar toh zindagi ka tune baksha
bakshne wale, bakshne wale
jara yeh bhi bata de aake, manjil hai kaha meri
ke manjil hai kaha meri
bahut purdard hai ae sunne walo daastan meri
ho gham ki daastan meri
mohabbat aur nakami
jawani aur barbaadi
jawani aur barbaadi
inhi do char lafjo me
chhupi hai daastan meri
chhupi hai daastan meri
bahut purdard hai ae sunne walo daastan meri
ho gham ki daastan meri