Tu Chanda Main Teri Chakori Lyrics | Birhan

                        
                        tu chanda main teri chakori
dekho sudh bisara ke mori
kal ko na tarasaanaa, na tarasaana
chood na jaanaa, na jaana

tu koyal main tera taraana
dekho kar ke mujhe diwaana
kal ko bhul na jaanaa, bhul na jaana
tod nibhaanaa, nibhaana

tu bane mera na mera
main to teri ho li
aaj amiri aur garibi
donon khelein holi
ohoho meri bhigo di choli
mainne tha ghar jaana

vo dekho ik ped pe baithe
hain do panchhi pyaare
milein to hain par bichhad na jaayein
kahin nasibo maare
do dil milate dekh ke duniya
sau sau zulm guzaare
par tum na ghabaraana