Welcome Entertainment Lover’s

Chand Roj Lyrics | Buddha In A Traffic Jam

                        
                        chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
julm ki chhav me dum lene pe majhbur hai hum
ek jara aur sitam seh le, tadap le role 
apne ajdad ki miras hai, mazur hai
chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz

jism par kaid hai, jazbat pe janjire hai
fikr mahbus hai, guftar pe tazire hai
aur apni himmat hai ki hum fir bhi jeeye jate hai
zindagi kya kisi muflis ki kaba hai 
jisme har ghadi dard ke pehband lage jate hai
chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz

lekin ab julm ki miyad ke din thode hai
ik jara sabr ke faryad ke din thode hai
arsa ye dehar ki jhulsi hui virani me
humko rehna hai par yuhi to nahi rehna hai
ajnabi haatho ka benam karabar sitam 
aaj sehna hai hamesha to nahi sehna
chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz

ye teri husn se lipti hui alam ki gard 
apni do roj jawani ki shiksto ka shumar
chandni raato ka bekar dhehakta hua dard
dil ki besud tadap jism ki maayus pukar 
chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz
chand roz aur meri jaan fakat chand hi roz