tumhi ho mere apne yaha
yaha sare gaanv me
tumhi ho mere apne yaha
yaha sare gaanv me
tumko niharu jivan waru
bhag sanwaru
tumhi ho mere apne yaha
yaha sare gaanv me
tumhi ho mere apne
chhota hai ek dulara
jaise ho phul pyara
chhota hai ek dulara
jaise ho phul pyara
aake bana jo mera sahara
duja pahad jaisa laage kathor aisa
duja pahad jaisa laage kathor aisa
phir bhi jhare re madhu ki dhara
dono paraye mujhko suhaye
man me samaye
tumhi ho mere apne yaha
yaha sare gaanv me
tumhi ho mere apne
itna hi bole didi
duja de gaali sidhi
itna hi bole didi
duja de gaali sidhi
phir bhi hraday hai maat pita sa
mujh par har aankh dole
papan sab gaanv bole
mujh par har aankh dole
papan sab gaanv bole
bhaiya re bhaiya tu hi kaho na
bhaiya re bhaiya tu hi kaho na
ban ka jharna papi kaisa
ye gaanv wale bante hai bhole
dil ke hai kaale
tumhi ho mere apne yaha
yaha sare gaanv me
tumhi ho mere apne