Do Dilo Ko Ye Duniya, Milne Hi Nahi Deti Lyrics | Chand

                        
                        do dilo ko ye duniya, milne hi nahi deti
do dilo ko ye duniya, milne hi nahi deti
aashao ki kaliyo ko, khilane hi nahi deti
aashao ki kaliyo ko, khilane hi nahi deti

ik bag me kya dekha
ik bag me kya dekha, bulbul waha rota tha
ik bag me kya dekha, bulbul waha rota tha
aur pas khada mali, kuchh har pirota tha
aur pas khada mali, kuchh har pirota tha
dil chir ke ik phul ka 
dil chir ke ik phul ka, kush kitna woh hota tha
bulbul tha tadap jata jab sui chabhota tha
dukh sah na saka bulbul, dukh sah na saka bulbul 
kuchh kah na saka bulbul, kuchh kah na saka bulbul
phir behne lage aansu aur kehne lage aansu, kya
do dilo ko yeh duniya, milne hi nahi deti
do dilo ko yeh duniya, milne hi nahi deti
aashao ki kaliyo ko, khilane hi nahi deti
aashao ki kaliyo ko, khilane hi nahi deti

tum mujhse yeh puchho ge 
tum mujhse yeh puchho ge, kya phul ki halat thi
tum mujhse yeh phuchho ge, kya phul ki halat thi
rutha hua mali tha, bigadi huyi kismat thi
rutha hua mali tha, bigadi huyi kismat thi
aankho me toh aansu the
aankho me toh aansu the, bechain tabiyat thi
sunsan tha dil usaka, barabad muhabbat thi
bulbul se juda ho kar, bulbul se juda ho kar
mali se kafa ho kar, mali se kafa ho kar
kanto me laga rahane aur phul laga kehne, kya
do dilo ko ye duniya, milne hi nahi deti
do dilo ko yh duniya, milne hi nahi deti
aashao ki kaliyo ko, khilane hi nahi deti
aashao ki kaliyo ko, khilane hi nahi deti